People always make the mistake of thinking art is created for them. But really, art is a private language for sophisticates to congratulate themselves on their superiority to the rest of the world. As my artist’s statement explains, my work is utterly incomprehensible and is therefore full of deep significance. - Calvin

Tuesday, September 9, 2014

Yaadein aur unka thaur thikana

Yaadein kahan rehti hai? Dil mein, na, waha to pyaar rehta hai, armaan rehte hain. Dimaag mein, bilkul nahi, waha to mahatvakanshaon ke dera jama hua hai. Yaadein rehti hain un shehron mein jinhe hum chor chale hain, jaha se hum aage badh gaye hain. kuch akeli yaadein, kuch yaadon ka taana baana in shehron ki un galiyon mein, un jaghon pe rehte hain jaha hum they, hamari kahani thi, chahe poori ya adhuri.
In yaadon ke saath ek tees rehti hai. Jo beet gaya aur hamesha ke liye kho gaya uska ek ajeeb sa dard rehta hai. Har baar jab us sheher ka zikr hota hai, us tees mein ek nayi uttejna aati hai.
Ye saare ehsaas dabe chupe un shehron ki galiyon mein baithe rehte hain aur anayaas hi kabhi, aa kar peeth pe dhap kar jaate hain, bilkul waise jaise chupam chupaai ke khel mein. Zoron se dil dhadak sa jaata hai, dil mein kuch toot jaata hai aur wo tukda yaadon ki taano baano mein ulajh jaata hai. Yahi to yaadein jaan leti bhi hain aur zinda bhi rakhti hain. Ek haath todti bhi aur dusre toote hue ko sambhal bhi leti hain. Sach hi to hain ki yaadein hi jeevan ki amulya nidhi hain, ye to ho to hai kya aakhir aapke paas...
Asankhya khatti mitthi yaadon ka taanabaana aapko muwassar aur mubarak ho...

1 comment:

Anonymous said...

deep :o